Mushafi Ghulam Hamdani

sada fikr-e-rozi hai ta zindagi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
sadā fikr-e-rozī hai tā zindagī hai
jo jiinā yahī hai to kyā zindagī hai
chhupā muñh na apnā ki mar jā.eñge ham
parī-rū tirā dekhnā zindagī hai
mujhe ḳhizr se do na jiine meñ nisbat
ki us kī ba-āb-e-baqā zindagī hai
tirī bevafā.ī kā shikva kareñ kyā
ḳhud apnī hī yaañ bevafā zindagī hai
ajal ke sivā us kī daarū nahīñ kuchh
ajab dard dūr-az-davā zindagī hai
tū gulshan meñ rah gul ye kahtā thā us se
tire dam se merī sabā zindagī hai
jinhoñ ne kiyā hai dil ā.īna apnā
unhīñ logoñ kī bā-safā zindagī hai
kahāñ kī havā tak rahā hai tū nādāñ
ki pal mārte yaañ havā zindagī hai
na ham muft marte haiñ kū-e-butāñ meñ
ki marne se yaañ mudda.ā zindagī hai
tū ai 'mus.hafī' gar hai āshiq fanā ho
ki āshiq ko bād-az-fanā zindagī hai
Top Urdushayar.com