Mushafi Ghulam Hamdani

TukDa jahan gira jigar-e-chaak-chaak ka

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
TukḌā jahāñ girā jigar-e-chāk-chāk kā
yāqūt sā damakne lagā rañg ḳhaak kā
le jaate haiñ uThā ke malak us kī naash ko
ye martaba hai teġh-e-nigah ke halāk kā
ai bāġhbāñ na mujh se ho āzurda maiñ chalā
ik dam ḳhush aa gayā thā mujhe saaya taak kā
milne meñ kitne garm haiñ ye haa.e dekhiyo
kushta huuñ maiñ to shola-ruḳhoñ ke tapāk kā
ai shola apnī garm-ravī par na bhūliyo
aalam hai aur āh-e-dil-e-soz-nāk kā
aatā hai apne kushte kī turbat pe jab vo shoḳh
ik naara vaañ se nikle hai rūhī-fidāk kā
shukr-e-ḳhudā ki naam hai ismat kā 'mus.hafī'
roz-e-jazā gavāh mire ishq-e-pāk kā
Top Urdushayar.com