Mushafi Ghulam Hamdani

jab se sane ne banaya hai jahan ka bahrup

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
jab se saan.e ne banāyā hai jahāñ kā bahrūp
apnī nazroñ meñ hai sab kaun-o-makāñ kā bahrūp
maiñ gayā bhes badal kar to lagā yuuñ kahne
chal be laayā hai mire aage kahāñ kā bahrūp
chāñd taare haiñ ye kaise ye shab o roz hai kyā
kuchh samajh meñ nahīñ aatā hai yahāñ kā bahrūp
chashm-e-bīnā hoñ to dāḌhī kī do-rañgī samjheñ
ek chehre pe hai ye piir o javāñ kā bahrūp
pahne jaate haiñ ka.ī rañg ke kapḌe din meñ
kyā kahūñ haa.e ġhazab hai ye butāñ kā bahrūp
baaġh meñ turra-e-sumbul kī pareshānī se
saaf niklā tire shorīda-sarāñ kā bahrūp
'mus.hafī' saañg se kyā ukhḌe hai pashm us kī bhalā
sau tarah se ho jise yaad zabāñ kā bahrūp
Top Urdushayar.com