kyā kareñ jā ke gulistāñ meñ ham
haiñ ba-kunj-e-qafas fuġhāñ meñ ham
jānte aap se judā tujh ko
karte gar farq jism-o-jāñ meñ ham
haiñ tajallī-e-zāt ke terī
ek parda sā darmiyāñ meñ ham
gul kā ye rañg hai to ab ik din
aag rakh deñge āshiyāñ meñ ham
vaañ taġhāful ne apnā kaam kiyā
yaañ rahe mehr ke gumāñ meñ ham
āsmāñ ko nishāna karte haiñ
tiir rakhte haiñ jab kamāñ meñ ham
mar ke nikle qafas se ḳhuub huā
tañg aa.e the is makāñ meñ ham
gar yahī aah hai to dekhoge
raḳhne kar deñge āsmāñ meñ ham
shāḳh-e-gul ke gale se lag lag kar
rote haiñ mausam-e-ḳhizāñ meñ ham
baaġh tak jaate haañ agar paate
tāqat us jism-e-nā-tavāñ meñ ham
'mus.hafī' ishq kar ke āḳhir-kār
ḳhuub rusvā hue jahāñ meñ ham