kibriyā.ī kī adā tujh meñ hai
garche tū but hai ḳhudā tujh meñ hai
shoḳhī o nāz-o-adā tujh meñ hai
yā ye ik qahr-e-ḳhudā tujh meñ hai
muñh chhupātā hai tū ā.īne se
kis qadar sharm-o-hayā tujh meñ hai
ḳhair-bāshad ki mire ḳhuun kī sī
surḳhī ai rañg-e-hinā tujh meñ hai
pūchh letā hai tū auroñ se mujhe
baare itnī to vafā tujh meñ hai
gul hai behāl ye kis gesū kī
nik.hat ai bād-e-sabā tujh meñ hai
dil ko khīñche hai tirī zulf-e-siyāh
sehr jaadū kī balā tujh meñ hai
ho na ai ḳhaak ke putle maġhrūr
is pe tū ye jo havā tujh meñ hai
sab ye naqsha hai tirā āryatī
ik zarā soch to kyā tujh meñ hai
tū jo yuuñ gul ko banā detī hai
kuchh to ai bād-e-sabā tujh meñ hai
'mus.hafī' se tū milā de us ko
ye asar dast-e-duā tujh meñ hai