liye aadam ne apne beTe pāñch
judī hotī hai haule haule aañch
qaid-e-maz.hab se mujh ko kyā matlab
maiñ nahīñ jāntā huuñ tiin aur pāñch
kis dahan ne ye us ko tañg kiyā
tifl-e-ġhuncha kī jo nikal ga.ī kāñch
aadmī hai vahī jo duniyā meñ
jhuuT ko jhuuT jaane sāñch ko sāñch
ustuḳhāñ-bandī-e-tan-e-majnūñ
apnī nazroñ meñ hai patañg kā Dhāñch
rām-e-majnūñ nahīñ huī lailā
misl-e-āhū birah bhare hai kalāñch
go paḌhīñ tū ne sau kitāb to kyā
'mus.hafī' ik ḳhat-e-jabīñ ko tū bāñch