hāl-e-dil-e-be-qarār hai aur
shāyad ki ḳhayāl-e-yār hai aur
ai diida na ro ki tujh par ik shab
rañj-e-shab-e-intizār hai aur
jaagā hai kahīñ magar tū dī-shab
āñkhoñ meñ tirī ḳhumār hai aur
farhād ne dekhte hī gulgūñ
jaanā thā ki ye savār hai aur
kūche meñ tire mirī nigah kā
har gosha umīd-vār hai aur
hai āḳhir-e-umr is chaman meñ
do chaar hī din bahār hai aur
nāvak kā tire shikār-gah meñ
har goshe nayā shikār hai aur
vo ham se kare hai kal kā va.ada
auroñ se vahāñ qarār hai aur
kyā laale se nisbat us ko sach hai
dāġh-e-dil-e-dāġhdār hai aur
auroñ sā na jaan mujh ko pyāre
ye āshiq-e-jāñ-nisār hai aur
ai 'mus.hafī' is meñ chup hī rah tū
suntā hai ye rozgār hai aur