Mushafi Ghulam Hamdani

ji se mujhe chah hai kisi ki

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
jī se mujhe chaah hai kisī kī
kyā jaane koī kisī kī jī kī
shāhid rahiyo tū ai shab-e-hijr
jhapkī nahīñ aañkh 'mus.hafī' kī
rone pe mire jo tum hañso ho
ye kaun sī baat hai hañsī kī
juuñ juuñ ki banāv par vo aayā
duunī huī chaah ārasī kī
go ab vo javāñ nahīñ pa ham se
lat jaa.e hai koī āshiqī kī
chāhe to shafaq ko phūñk deve
surḳhī tire rañg-e-ātishī kī
maiñ vādi-e-ishq meñ jo aayā
majnūñ ne mirī na ham-sarī kī
khāte nahīñ ab tire nusairī
saugand bhī murtazā-alī kī
kyā reḳhta kam hai 'mus.hafī' kā
bū aatī hai is meñ fārsī kī
Top Urdushayar.com