Mushafi Ghulam Hamdani

kya daKHl kisi se maraz-e-ishq shifa ho

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kyā daḳhl kisī se maraz-e-ishq shifā ho
mumkin hai ki is dard kī duniyā meñ davā ho
bāloñ kā ghuras rakhnā hai pagḌī hī meñ behtar
kyā fā.eda ik ḳhalq giraftār-e-balā ho
maġhrūr na rah hasti-e-mauhūm pe ġhāfil
yaañ aañkh jhapakte hī ḳhudā jāniye kyā ho
ai musht-e-ġhubār-e-tan-e-farsūda-e-āshiq
us kū meñ zamīñ-gīr hai giiv ab tū havā ho
gar charḳh pe jaave to shafaq hove mirā ḳhuuñ
var ḳhaak meñ pinhāñ ho to vaañ rañg-e-hinā ho
hai sub.h se kuchh aaj mire dil ko bashāshat
us kūche se qāsid to na ḳhat le ke chalā ho
kyā daur hai gar ruuh mirī ba.ad-e-fanā bhī
phirtī rahe kūche meñ tire bād-e-sabā ho
parda maiñ uThātā nahīñ zinhār kisī kā
is Dar se kahīñ tū hī na parde meñ chhupā ho
hai ā.īne meñ aks tirā terī hī sūrat
tū us pe fidā aur vo tere pe fidā ho
chalte hī tire baam pe aayā hai vo kāfir
kyuuñ itne qadam jald uThātā hai khaḌā ho
ai 'mus.hafī' us kūche se tū sar ko jhukā.e
kyā jaave hai kam-baḳht zarā rū-ba-qafā ho
Top Urdushayar.com