Mushafi Ghulam Hamdani

dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
dūkān-e-mai-farosh pe gar aa.e mohtasib
din iid ke to ḳhuub ghaḌā jaa.e mohtasib
ai charḳh-e-fitna-gar ye ravā hai ki har baras
sahbā-kashoñ pe baaj kī Thahrā.e mohtasib
mastoñ ne sañgsār kyā us ko bār-hā
lekin gayā na us pe bhī saudā-e-mohtasib
hāthoñ se us ke shīsha-e-dil chuur hai mirā
yā-rab kiye kī apne sazā paa.e mohtasib
ye kū-e-mai-farosh meñ raulā huā ki raat
dahshat se vaañ Thahar na sakā pā-e-mohtasib
mast-e-sharāb-e-ishq ko bāzār-e-dahr meñ
zinhār bīm-e-shahna na parvā-e-mohtasib
kuchh de ke rishvat us ko tū pī 'mus.hafī' sharāb
sab zar ke vāste hai ye ġhauġhā-e-mohtasib
Top Urdushayar.com