az-bas-ki jī hai tujh bin bezār zindagī se
behtar hai mujh ko marnā ai yaar zindagī se
mar jā.ūñ maiñ to ronā merā tamām hove
shākī haiñ merī chashm-e-ḳhūñ-bār zindagī se
us shāhid-e-nihāñ kā kushta huuñ maiñ ki jis ne
khīñchī hai darmiyāñ meñ dīvār zindagī se
marte to chhūT jaate rañj-o-mehan se yaañ ke
mānind-e-ḳhizr ham haiñ nā-chār zindagī se
yaañ kī aziyyatoñ se az-bas-ki āgahī thī
karte the ham adam meñ inkār zindagī se
jiite agar na ham to kyuuñ zillateñ uThāte
khaa.ī hai dil pe ham ne talvār zindagī se
sach hai uThā.e kab tak har ik kī be-adā.ī
aatī hai 'mus.hafī' ko ab aar zindagī se