Mushafi Ghulam Hamdani

wahin the shaKH-e-gul par gul jahan jama

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
vahīñ the shāḳh-e-gul par gul jahāñ jam.a
kiye bulbul ne ḳhār-e-āshiyāñ jam.a
lagā detā hai un ko chun ke ātish
humā kar ke hamāre ustuḳhāñ jam.a
chaman meñ kis ke aane kī ḳhabar hai
kare hai phuul chun chun bāġhbāñ jam.a
hai sohbat kā pareshānoñ ke ye rañg
havā se hoveñ jo barg-e-ḳhizāñ jam.a
safar kī mujh se kyā kahte ho jaao
karūñ kyā gar huā hai kārvāñ jam.a
abhī mū-e-pareshāñ se kisī ke
mirī ḳhātir nahīñ ai dostāñ jam.a
falak ne sañg pheñkā tafraqe kā
hue do-chār sāhib-dil jahāñ jam.a
na ḳharch-e-'mus.hafī' kī pūchho us se
tavakkul kā hai māl-e-be-karāñ jam.a
Top Urdushayar.com