Mushafi Ghulam Hamdani

wadon hi pe har roz meri jaan na Talo

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
va.adoñ hī pe har roz mirī jaan na Taalo
hai iid kā din ab to gale ham ko lagā lo
har vaqt miyāñ ḳhuub nahīñ gāliyāñ denī
kyā bakte ho tum yaava zabāñ apnī sambhālo
pahuñche ko chhuḌāoge baḌe mard ho aise
tum pahle mire haath se dāman to chhuḌā lo
dīvāne kā hai tere ye aalam ki parī bhī
dekh us ko ye kahtī hai koī us ko bulā lo
is shoḳh kī āñkhoñ ke jo jaatā huuñ muqābil
kahtī haiñ nigāheñ ki use maar hī Daalo
yuuñ phirte ho maqtal pe shahīdān-e-vafā ke
dāman to zarā haath meñ tum apne uThā lo
jaañ Dāltā hai 'mus.hafī' qālib meñ suḳhan ke
mushkil hai ki tum us kī tarah sher to Dhālo
go zamzama-e-delhi o kū lahja-e-pūrab
kyuuñ us kī taraf hote ho nāhaq ko razālo
Top Urdushayar.com