Mushafi Ghulam Hamdani

hum dil ko liye bar-sar-e-bazar khaDe hain

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ham dil ko liye bar-sar-e-bāzār khaḌe haiñ
hairān-e-tamannā-e-ḳharīdār khaḌe haiñ
ġhairoñ se vo ḳhalvat meñ hai mashġhūl-e-zarāfat
ham rashk ke maare pas-e-dīvār khaḌe haiñ
un sharm-zadoñ ko bhī bulā sāmne apne
jo sharm ke maare pas-e-dīvār khaḌe haiñ
az-bahr-e-ḳhudā baam par aa ai but-e-kāfir
kūche meñ tire tālib-e-dīdār khaḌe haiñ
Dhab pā.ūñ to maiñ us se kahūñ hāl-e-dil apnā
is but ko to ghere hue aġhyār khaḌe haiñ
hai us kī savārī kī ḳhabar sair-e-chaman ko
aur ahl-e-tamāshā sar-e-bāzār khaḌe haiñ
juuñ naqsh-e-qadam baiThne kī jā nahīñ miltī
is kūche meñ ham is liye nā-chār khaḌe haiñ
kūcha hai tirā va.ada-gah-e-ḳhalq ki jis meñ
do-chār jo baiThe haiñ to do-chār khaḌe haiñ
ho azm-e-safar tujh ko to ai 'mus.hafī' ab bhī
chalne ke liye qāfile tayyār khaḌe haiñ
Top Urdushayar.com