Mushafi Ghulam Hamdani

KHwariyan badnamiyan ruswaiyan

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ḳhvāriyāñ badnāmiyāñ rusvā.iyāñ
ishq ne shakleñ ye sab dikhlā.iyāñ
vo hī kiiñ bāteñ jo tujh ko bhā.iyāñ
bal be ai zālim tirī ḳhud-rā.iyāñ
mar ga.e lākhoñ hī aur parvāna kī
kyā kahūñ maiñ us kī be-parvā.iyāñ
ek sūrat ke liye is ishq meñ
saikḌoñ sūrat kī haiñ rusvā.iyāñ
shauq meñ āġhosh-e-teġh-e-nāz ke
zaḳhm-e-dil lete haiñ sab añgḌā.iyāñ
ham se pūchhe koī uzlat kā maza
gosha-e-sahrā hai aur tanhā.iyāñ
dil mushabbak sūrat-e-bādām hai
barchhiyāñ palkoñ kī kis kī khā.iyāñ
ḳhāna-e-dil par hamāre yā nasīb
bādaloñ ne bijliyāñ barsā.iyāñ
'mus.hafī' bhī hai phañkaitoñ meñ miyāñ
yaad haiñ us ko bhī kitnī ghā.iyāñ
Top Urdushayar.com