is qadar bhī to mirī jaan na tarsāyā kar
mil ke tanhā tū gale se kabhī lag jaayā kar
dekh kar ham ko na parde meñ tū chhup jaayā kar
ham to apne haiñ miyāñ ġhair se sharmāyā kar
ye burī ḳhū hai dilā tujh meñ ḳhudā kī saugand
dekh us but ko tū hairān na rah jaayā kar
haath merā bhī jo pahuñchā to maiñ samjhūñgā ḳhuub
ye añgūThā tū kisī aur ko dikhlāyā kar
gar tū aatā nahīñ hai ālam-e-bedārī meñ
ḳhvāb meñ tū kabhī ai rāhat-e-jāñ aayā kar
ai sabā auroñ kī turbat pe gul-afshānī chand
jānib-e-gor-e-ġharibāñ bhī kabhī aayā kar
ham bhī ai jān-e-man itne to nahīñ nākāra
kabhī kuchh kaam tū ham ko bhī to farmāyā kar
tujh ko khā jā.egā ai 'mus.hafī' ye ġham ik roz
dil ke jaane kā tū itnā bhī na ġham khāyā kar