Mushafi Ghulam Hamdani

dariya-e-ashiqi mein jo the ghaT ghaT sanp

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
dariyā-e-āshiqī meñ jo the ghaaT ghaaT saañp
le ga.e sapere vaañ se bahut bhar ke baaT saañp
az-bas-ki us ke zahr pe ġhālib hai zahr-e-ishq
mar jaave hai vahīñ tire āshiq ko kaaT saañp
dariyā meñ sar ke baal koī dho gayā magar
lahroñ ke ho rahe haiñ jo yuuñ baara baaT saañp
nāmard se bhalā jaTa.ī ḳhaak phir huī
samjhā jab apnī bhaiñs kī rassī ko jaaT saañp
tahrīk-e-zulf se tirī bād-e-sumūm ne
kahte haiñ dasht-o-dar meñ diye baaT baaT saañp
the jis zamīñ pe sandal-e-pā ke tire nishāñ
jiite haiñ ab vahīñ kī zarā ḳhaak chaaT saañp
sāhil pe us kī ja.ad-e-musalsal ke aks se
dariyā meñ dhobiyoñ ko nazar aa.e paaT saañp
bañgle meñ jā ke ḳhaak rahe koī 'mus.hafī'
kar deñ haiñ aadmī kā yahāñ jī uchāT saañp
Top Urdushayar.com