Aqeel Shadab

shayad koi kami mere andar kahin pe hai

Aqeel Shadab

shāyad koī kamī mere andar kahīñ pe hai
maiñ āsmāñ pe huuñ mirā saaya zamīñ pe hai
afsāna-e-hayāt kā har ek sāneha
tahrīr harf harf hamārī jabīñ pe hai
dariyā meñ jis tarah se ho maahī usī tarah
maiñ huuñ jahāñ pe merā ḳhudā bhī vahīñ pe hai
jannat ḳhudā hī jaane kahāñ hai kahāñ nahīñ
mujh ko yaqīn hai ki jahannam yahīñ pe hai
yuuñ jī rahe haiñ saḳht aziyyat ke bāvajūd
dār-o-madār ziist kā jaise hamīñ pe hai
is tarah fāsloñ pe fatah pā chuke haiñ ham
ik paañv āsmān pe hai ik zamīñ pe hai
'shādāb' husn-o-ishq masāvī haiñ āj-kal
ilzām mujh pe hai vahī us nāznīñ pe hai
Top Urdushayar.com