mauj-e-nik.hat kī sabā dekh savārī tayyār
ḳhaar se kī hai gul-e-tar ne kaTārī tayyār
kah do majnūñ se kare apnī savārī tayyār
aaj yaañ hotī hai lailā kī savārī tayyār
haath donoñ kaf-e-afsos kī sūrat likkhe
kī jo naqqāsh ne tasvīr hamārī tayyār
teġh ko saan pe rakkhā thā tabhī qātil ne
gardan apnī na huī thī abhī saarī tayyār
lab-e-jāñ-baḳhsh kī tere jo safā ko dekhe
āb-e-haivāñ ho pa.e-ā.īna-dārī tayyār
kis misī zeb kā gulshan se sunā hai jaanā
barg-e-sausan ne jo phir kī hai kaTārī tayyār
ham subuk-rūh asīroñ ke liye lāzim hai
qafas-e-gul ko kare bād-e-bahārī tayyār
haar kyuuñ us ke gale kā maiñ na huuñ zar-gar ne
kī hai zanjīr gale kī tire bhārī tayyār
ai ajal ziist kā kyā un se tū māñge hai hisāb
jo haiñ har dam pa.e-anfās-shumārī tayyār
surḳh nefe se pa.e-said-e-dil-e-bul-havasāñ
kamar us kī huī juuñ yuuz shikārī tayyār
juuñ juuñ baḌhte haiñ mire dast-e-junūñ ke nāḳhun
vuuñ vuuñ hote haiñ pa.e-sīna-figārī tayyār
putliyāñ jaa.e sitāroñ kī Tikī haiñ is meñ
dīda-rezī se huī kafash tumhārī tayyār
ho ḳhajil kyūñki na nemāñ ki gulābī laala
mai se kartī hai tirī chashm-e-ḳhumārī tayyār
az-barā.e-kamar-e-nāzuk-e-rashk-e-rag-e-gul
bāġhbāñ kiijo tū phūloñ kī kaTārī tayyār
likh ba-tabdīl-e-qavāfī ġhazal ik 'mus.hafī' aur
nāfa-e-nuqta se kar mushk-e-tatārī tayyār