is marg ko kab nahīñ maiñ samjhā
har dam dam-e-vāpsīñ maiñ samjhā
andāz tirā bas ab na kar shor
ai nāla-e-ātishīñ maiñ samjhā
tab mujh ko ajal huī gavārā
jab zahr ko añgbīñ maiñ samjhā
ik ḳhalq kī sarnavisht bāñchī
apnā na ḳhat-e-jabīñ maiñ samjhā
juuñ shāna kabhū tah-e-peñch tere
ai kākul-e-ambarīñ maiñ samjhā
kyā fā.eda āh-e-dam-ba-dam se
hai dard-e-dil-e-hazīñ maiñ samjhā
phir is meñ na shak ne raah paa.ī
jis baat ko bil-yaqīñ maiñ samjhā
jab uTh ga.ī zid to har suḳhan meñ
samjhā to kahīñ kahīñ maiñ samjhā
mū-e-kamar us kā kyā hai ai aql
samjhā tū mujhe nahīñ maiñ samjhā
likkhī ġhazal is meñ 'mus.hafī' jald
jis ko ki na.ī zamīñ maiñ samjhā