us ke kūche kī taraf thā shab jo dañgā aag kā
aah se kis kī paḌā thā vaañ patiñgā aag kā
jañg hai kis ātishīñ-ḳhū se jo rahtā hai mudām
teġh-e-uryāñ kī tarah har sho.ala nañgā aag kā
toshe-dānoñ meñ bhare rahte haiñ un ke kartōs
is liye ḳhatra rakhe hai har tilañgā aag kā
tah se us kī surḳh ho kar kab na niklī mauj-e-barq
kab shafaq ne ḳhuuñ meñ pairāhan na rañgā aag kā
sham.a ke sho.ale pe mauqūf us kā jal jaanā nahīñ
'mus.hafī' jis jā ho āshiq hai patiñgā aag kā