Mushafi Ghulam Hamdani

raat karta tha wo ek murgh-e-giraftar se bahs

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
raat kartā thā vo ik murġh-e-giraftār se bahs
maiñ bhī tā-sub.h rakhī bulbul-e-gulzār se bahs
nau-bahārāñ meñ vo ho jaave hai kyuuñ surḳh magar
dāġh-e-dil ko hai mire lāla-e-kuhsār se bahs
tālib-ilm-e-mohabbat jo maiñ thā tiflī meñ
thī nit āñkhoñ kī mire husn-e-ruḳh-e-yār se bahs
sulh-e-kul meñ mirī guzre hai mohabbat ke biich
na to takrār hai kāfir se na dīñ-dār se bahs
sau zabāñ go huiiñ muñh meñ tire ai ġhuncha-e-gul
tujh ko lāzim nahīñ karnā mirī minqār se bahs
sheva har-chand ki apnā nahīñ tālib-ilmī
to bhī maujūd haiñ ham karne ko do-chār se bahs
yuuñ huī haar gale kā mire vo nargis-e-mast
juuñ kare raah meñ koī kisī hoshiyār se bahs
hoñ vo dīvāna ki ik shab bhī jo maiñ ghar meñ rahūñ
raat ko sub.h karūñ kar dar-o-dīvār se bahs
aql-e-kul ne nahīñ ilzām diyā us ko husūd
duur ho, kar na abas 'mus.hafī'-e-zār se bahs
Top Urdushayar.com