siina hai purze purze jā-e-rafū nahīñ yaañ
Tāñke lagāveñ kis ko dil kī to bū nahīñ yaañ
saaqī hai sarv-o-gul hai mutrib hai aur tarāna
afsos ik yahī hai aise meñ tū nahīñ yaañ
har-chand tū hamesha pesh-e-nazar hai is par
chhuT terī justujū ke kuchh justujū nahīñ yaañ
majlis se apnī gul ko bhijvā de phir chaman meñ
kis vāste ki us kā vo rañg-o-bū nahīñ yaañ
hairān huuñ ki kiije kis se surāġh-e-ishrat
mātam-kada hai aalam juz-hā.e-o-hū nahīñ yaañ
jo aarzū diloñ meñ muzmar hai sāhiboñ ke
hai aarzū to lekin vo aarzū nahīñ yaañ
aa.e the ham chaman meñ sun kar tirī ḳhabar ko
phir kyā kareñge rah kar zālim jo tū nahīñ yaañ
ahl-e-suḳhan kā yā-rab kyuuñ mohtasib hai dushman
click o davāt hai kuchh jām-o-subū nahīñ yaañ
qurbāniyān-e-ulfat sab sar kaTe paḌe haiñ
shamshīr ke havāle kis kā gulū nahīñ yaañ
majlis meñ terī Thahre kyā 'mus.hafī' ki nādāñ
ġhair-e-az-abe-tabe to kuchh guftugū nahīñ yaañ