Mushafi Ghulam Hamdani

hai mah ki aaftab kya hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
hai maah ki āftāb kyā hai
dekho to tah-e-naqāb kyā hai
maiñ ne tujhe tū ne mujh ko dekhā
ab mujh se tujhe hijāb kyā hai
aa.e ho to koī dam to baiTho
ai qibla ye iztirāb kyā hai
us bin hameñ jāgte hī guzrī
jaanā bhī na ye ki ḳhvāb kyā hai
mujh ko bhī gine vo āshiqoñ meñ
is baat kā so hisāb kyā hai
sīpāra-e-dil ko dekh us ne
pūchhā bhī na ye kitāb kyā hai
is mai-kada-e-jahāñ meñ yaaro
mujh sā bhī koī ḳharāb kyā hai
qismat meñ hamārī 'mus.hafī' haa.e
kyā jaane savāb azaab kyā hai
Top Urdushayar.com