dil meñ murġhān-e-chaman ke to gumāñ aur hī hai
par dil-e-zār kā andāz-e-fuġhāñ aur hī hai
qad-e-nau-ḳhez nahīñ āfat-e-jāñ aur hī hai
jis pe dil apnā gayā hai vo javāñ aur hī hai
ham jahāñ rahte haiñ yaaro vo jahāñ aur hī hai
vo jagah aur hī hai aur vo makāñ aur hī hai
shafaqī rañg pe mat bhūliyo apne ai abr
chashm-e-ḳhushk aur mizha-e-ashk-fishāñ aur hī hai
badan āġhushta-ba-ḳhūñ hone pe mauqūf nahīñ
zaḳhmī-e-nāvak-e-mizhgāñ kā nishāñ aur hī hai
go ki auroñ kī huiiñ surme se āñkheñ raushan
surma-e-bīnish-e-sāhib-nazarāñ aur hī hai
garche rakhte haiñ nazākat ye sabhī mū-kamrāñ
vo nazākat hai judī aur vo miyāñ aur hī hai
'mus.hafī' garche ye sab kahte haiñ ham se behtar
apnī par reḳhta-goī kī zabāñ aur hī hai