Mushafi Ghulam Hamdani

tujh bin to kabhi gul ke tain bu na karun main

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tujh bin to kabhī gul ke ta.iiñ bū na karūñ maiñ
mar jā.ūñ pa gulshan kī taraf rū na karūñ maiñ
gar ja.ad ko sumbul kī sabā bechne laave
ḳhātir se tirī qīmat-e-yak-mū na karūñ maiñ
palle meñ tire husn ke go ho vo girāñ-tar
yūsuf ko tirā sañg-e-tarāzū na karūñ maiñ
yuuñ dil ko giraftār rakhūñ said-e-alam meñ
par aur kā said-e-ḳham-e-gesū na karūñ maiñ
gar hūr-o-parī dil ko lubhāve mire aa kar
vallāh ki us par kabhī jaadū na karūñ maiñ
gar marsiya-ḳhvānī pe dil aave kabhī merā
tū hove to dā.ūd ko baazū na karūñ maiñ
huuñ bas-ki havā-dār tirī ātish-e-ġham kā
phuñk jaa.e jo siina to kabhū hū na karūñ maiñ
yuuñ dekhūñ to dekhūñ kisī ḳhush-vaz.a ko lekin
ḳhvāhish kī nazar bar-ruḳh-e-nekū na karūñ maiñ
bulbul kī tarah gul pe na huuñ zamzama-parvāz
qumrī kī tarah sarv pe kū kū na karūñ maiñ
jab raat ho zaanū pe rakho apne sar apnā
par takiya-e-sar ġhair kā zaanū na karūñ maiñ
mehrāb ke ka.abe kā namāzī huuñ to vaañ bhī
juz sajda-e-tāq-e-ḳham-e-abrū na karūñ maiñ
jab tak na khuleñ mujh se tire husn ke uqde
hargiz havas-e-nāfa-e-āhū na karūñ maiñ
ham-ḳhvāba agar hove mirī hūr-e-bahishtī
īdhar se udhar ko kabhī pahlū na karūñ maiñ
koī aur to kab mujh ko lubhā saktā hai lekin
Dartā huuñ tasavvur se tire ḳhū na karūñ maiñ
ai 'mus.hafī' hai ahd ki jab tak na vo gul ho
gul-gasht-e-gul o sair-e-lab-e-jū na karūñ maiñ
Top Urdushayar.com