Mushafi Ghulam Hamdani

aankhon ko phoD Dalun ya dil ko toD Dalun

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
āñkhoñ ko phoḌ Dālūñ yā dil ko toḌ Dālūñ
yā ishq kī pakaḌ kar gardan maroḌ Dālūñ
yak-qatra ḳhuuñ baġhal meñ hai dil mirī so us ko
palkoñ se terī ḳhātir kyūñ-kar nichoḌ Dālūñ
vo āhū-e-ramīda mil jaa.e tīra-shab gar
kuttā banūñ shikārī us ko bhañbhoḌ Dālūñ
ḳhayyāt ne qazā ke jaama siyā jo merā
aayā na jī meñ itnā kyā is meñ joḌ Dālūñ
vo sañg-dil huā hai ik sañg-dil pe āshiq
aatā hai jī meñ sar ko pathroñ se phoḌ Dālūñ
baiThā huuñ ḳhālī āḳhir ai āñsūo karūñ kyā
do chaar gokharo hī laao na moḌ Dālūñ
taqsīr 'mus.hafī' kī hove muaaf sāhib
farmāo to tumhāre lā us ko goḌ Dālūñ
Top Urdushayar.com