lagte haiñ nit jo ḳhūbāñ sharmāne bāvle haiñ
ham log vahshī ḳhabtī dīvāne bāvle haiñ
ye sehr kyā kiyā hai bāloñ kī darhamī ne
jo us parī par apne begāne bāvle haiñ
jī jhoñktā hai koī ātish meñ nāhaq apnā
jalte haiñ sham.a par jo parvāne bāvle haiñ
ismat kā apnī us ko jab aaphī ġham na hove
lagte haiñ ham jo nāhaq ġham khāne bāvle haiñ
us mai kā ek qatra sūrāḳh-e-dil kare hai
bhar bhar jo ham piyeñ haiñ paimāne bāvle haiñ
gardish se putliyoñ kī sar-gashta hai zamāna
mastī se us nigah kī mai-ḳhāne bāvle haiñ
jaate haiñ us galī meñ laḌkoñ ko saath le kar
myaañ 'mus.hafī' bhī yaaro kyā syāne bāvle haiñ