asar mirī zabān meñ nahīñ rahā
vo tiir ab kamān meñ nahīñ rahā
hai pattharoñ kā qarz us ke dosh par
jo kāñch ke makān meñ nahīñ rahā
alaav sard ho ga.e hayāt ke
rachāo dāstān meñ nahīñ rahā
thā jis pe merī zindagī kā inhisār
usī kā naam dhyān meñ nahīñ rahā
gumān hī asāsa thā yaqīn kā
yaqīn hī gumān meñ nahīñ rahā
huā jo sahl us ke ghar kā rāsta
maza hī kuchh takān meñ nahīñ rahā
na kī kabhī bhī fikr maiñ ne suud kī
kabhī bhī maiñ ziyān meñ nahīñ rahā
vo kho gayā ġhubār-e-gard-e-rāh meñ
jo shaḳhs imtihān meñ nahīñ rahā
ḳhamoshiyoñ ne bhar diyā ḳhalāoñ ko
suḳhan vo darmiyān meñ nahīñ rahā
taḌap uThe jise ḳharīdne ko dil
vo maal hī dukān meñ nahīñ rahā