log kahte haiñ mohabbat meñ asar hotā hai
kaun se shahr meñ hotā hai kidhar hotā hai
us ke kūche meñ hai nit sūrat-e-bedād na.ī
qatl har ḳhasta bā-andāz-e-digar hotā hai
nahīñ ma.alūm ki mātam hai falak par kis kā
roz kyuuñ chaak girebān-e-sahar hotā hai
vūhīñ apnī bhī hai bārīk-tar-az-mū gardan
teġh ke saath yahāñ zikr-e-kamar hotā hai
kar ke maiñ yaad dil apne ko bahut rotā huuñ
jab kisī shaḳhs kā duniyā se safar hotā hai
us kī mizhgāñ kā koī naam na lo kyā hāsil
merā in bātoñ se surāḳh jigar hotā hai
'mus.hafī' ham to tire milne ko aa.e ka.ī baar
ai divāne tū kisī vaqt bhī ghar hotā hai