is gulshan-e-pur-ḳhār se mānind-e-sabā bhaag
vahshat yahī kahtī hai ki zanjīr tuḌā bhaag
girte the ḳharīdār kab is tarah se us par
paañv se tire lagte hī mehñdī ko lagā bhaag
shoḳhī kahūñ kyā tere tasavvur kī ki he he
shab sāmne aa kar mire aage se gayā bhaag
jab kabk-e-darī dekhe hai raftār ko us kī
kahtā hai yahī jī meñ ''ye raftār uḌā bhāg''
zāhid jo huā kar ke vuzū hauz pe qaa.em
ik rind ko sūjhī ki tū ab us ko girā bhaag
Thahrā jo zarā bahr-e-mohabbat pe maiñ jā kar
aa.ī lab-e-sāhil se yahī us ke sadā bhaag
ai 'mus.hafī' hai mār-e-falak rahzan-e-mardum
tū bhaag sake us se to az-bahr-e-ḳhudā bhaag