hameñ nit asīr-e-balā chāhtā hai
hamārī ḳhushī kab ḳhudā chāhtā hai
shab o roz royā kareñ ḳhuun āñkheñ
yahī to vo rañg-e-hinā chāhtā hai
vo kartā hai apne hī jī meñ burā.ī
kisī kā koī gar burā chāhtā hai
dilā baiTh rah rakh ke dandāñ jigar par
tavakkul kā gar tū mazā chāhtā hai
ise aap se dhyān aane kā tere
vo gul tujh ko bād-e-sabā chāhtā hai
mire ustuḳhāñ se bhī hai us ko nafrat
mare faaqa kar ke humā chāhtā hai
nahīñ ḳhvāhish us kī khulī ham pe ab tak
vo kyā māñgtā hai vo kyā chāhtā hai
magar ye ki in rozoñ phir 'mus.hafī' ko
tire ġham meñ saudā huā chāhtā hai