vo dar talak aave na kabhī baat kī Thahre
hairāñ huuñ maiñ kis tarah mulāqāt kī Thahre
har roz kā milnā hai jo dushvār to pyāre
itnā to karo qasd ki ik raat kī Thahre
jis vaqt ki ham aa.eñ to ye chāhiye tum ko
auroñ se na phir harf-o-hikāyāt kī Thahre
ai dīda-e-tar tum bhī jhaḌī apnī lagā do
is saal to barsāt meñ barsāt kī Thahre
kis chiiz pe phir ham hoñ guftār-e-ta.ayyun
din raat kī Thahre hai na auqāt kī Thahre
jab kaaT ke dil pair ga.ī hove jigar meñ
phir kyuuñ na chhurī aap kī us baat kī Thahre
har roz ye chāhe hai tirī chashm kī gardish
is markaz-e-ḳhākī pe kuchh āfāt kī Thahre
ai 'mus.hafī' is vaqt vo mehmāñ hai tumhāre
hai ghaat kī jāgah tuu, agar ghaat kī Thahre