ne shahriyoñ meñ haiñ na bayābāniyoñ meñ ham
āzād haiñ pa haiñ tire zindāniyoñ meñ ham
jin kā nazīr dast-e-qazā se na ban sakā
insāf ho to haiñ unhī lā-sāniyoñ meñ ham
dariyā kī lahroñ se ye ayaañ hai ki juuñ hubāb
rakhte haiñ dil ko jam.a pareshāniyoñ meñ ham
rashkūk mere ashk ke le us ne yuuñ kahā
in motiyoñ ko Dāleñge chaudāniyoñ meñ ham
ab tā.irān-e-dasht ke haiñ ham-nashīd-e-dard
karte the zamzame kabhī bustāniyoñ meñ ham
ai teġh-e-nāz tū ne ye kaisā sitam kyā
be-zab.h rah ga.e tire qurbāniyoñ meñ ham
jis jā paḌe haiñ kushte tire un ke jo nasīm
bose hī dete phirte haiñ peshāniyoñ meñ ham
sau ii.deñ aa.iiñ aur huā ham ko hukm-e-qatl
kyā nā-qubūl haiñ tire zindāniyoñ meñ ham
ai shahsavār-e-husn inaañ le ki pis ga.e
tere samand-e-nāz kī jaulāniyoñ meñ ham
mudrik haiñ juz o kul ke pa rahte haiñ raat din
us kār-gāh-e-san.a kī hairāniyoñ meñ ham
kashtī shikast-ḳhurda-e-dariyā-e-ishq haiñ
jaate haiñ tirte Dūbte tūfāniyoñ meñ ham
muhtāj-e-marg kaahe ko phir hoveñ 'mus.hafī'
jiite hī jī jo baiThe hoñ rūhāniyoñ meñ ham