dar talak aa ke Tuk āvāz sunā jaao jī
apne mushtāq ko itnā bhī na tarsāo jī
ġhair ke saath se bhāge hai mujhe dekh to maiñ
us se kahtā huuñ ki us ko tumhī Thahrāo jī
maiñ jo ik roz bulāyā unheñ ghar jaate dekh
paas aa baiTh ke kahne lage farmāo jī
shāna kyā zulf-e-pareshāñ meñ karo ho baiThe
apne uljhe hue bāloñ ko to suljhāo jī
zānū-e-ġhair pe shab sar na rakhā thā tum ne
jaao jhūTī na mire sar kī qasam khaao jī
mujh se kyā pūchho ho kyā jī meñ tire hai sach kah
hai jo kuchh jī meñ mire tum hī samajh jaao jī
raat añdherī hai chale aao mire ghar chhup kar
aa ke phir chāñd sā mukhḌā mujhe dikhlāo jī
ishq meñ hote haiñ myāñ-'mus.hafī' sau tarah ke ġham
go ġham-e-hijr hai itnā bhī na ghabrāo jī