Mushafi Ghulam Hamdani

kahin maghz uske main subh-dam teri bu-e-zulf-e-rasa gai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kahīñ maġhz us ke maiñ sub.h-dam tirī bū-e-zulf-e-rasā ga.ī
tire kūche se jo chaman talak gul uḌātī ḳhāk-e-sabā ga.ī
maraz ik jahāñ se nirālā thā mirī jaan tere marīz kā
na huā kisī se ilaaj jab ajal us kī karne davā ga.ī
ġharaz is nibāh ke sadqe meñ ġharaz aisī chaah ke sadqe meñ
na tirā hī jaur-o-jafā gayā na mirī hī mehr-o-vafā ga.ī
ye bahār hovegī sab ḳhizāñ na saman na laala na arġhavāñ
dam-e-garm kī mire dostāñ kabhū baaġh meñ jo havā ga.ī
jo fidā-e-sūrat-e-ḳhūb haiñ unheñ tab kahūñgā ki dekhiye
koī shakl apnī hī chashm meñ kabhū sair kartī jo aa ga.ī
maiñ huā ba-ḳhāk-e-siyah-faro tire kūche meñ ba-sad-ārzū
rahā sharmgīñ hī hamesha tū tirī ab talak na hayā ga.ī
sar uThā.ūñ kyūñke maiñ 'mus.hafī' nahīñ mujh meñ tāb-o-tavāñ zarī
ki ḳhirām us but-e-shoḳh kī mujhe ḳhaak hī meñ milā ga.ī
Top Urdushayar.com