Aqeel Shadab

mata-o-mal na de daulat-e-tabahi de

Aqeel Shadab

matā-o-māl na de daulat-e-tabāhī de
mujhe bhī mumlikat-e-ġham kī bādshāhī de
khaḌā huā huuñ maiñ dast-e-talab darāz kiye
na mere sar ko yuuñ ilzām-e-kaj-kulāhī de
maiñ apne aap ko kis tarah sañgsār karūñ
mire ḳhilāf mirā dil agar gavāhī de
maiñ Thahre paanī kī mānind qaid huuñ ḳhud meñ
koī nasheb kī jānib mujhe bahā hī de
mire dinoñ ko javāñ jism kā ujālā de
mirī shaboñ ko ghanī zulf kī siyāhī de
kabhī to lazzat-e-kām-o-dahan do-bālā kar
ham aise fāqa-kashoñ ko bhī murġh-o-māhī de
har ek daur ke suqrāt kā ye virsa hai
mujhe bhī lā mirī zahrāb kī surāhī de
Top Urdushayar.com