Mushafi Ghulam Hamdani

aata hai kis andaz se Tuk naz to dekho

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
aatā hai kis andāz se Tuk naaz to dekho
kis dhaj se qadam paḌtā hai andāz to dekho
tā.ūs-e-parī-jalva ko Thukrā ke chale hai
andāz-e-ḳhirām-e-but-e-tannāz to dekho
yak jumbish-e-lab us kī ne lākhoñ ko jilāyā
iisā ko ye qudrat thī tum e.ajāz to dekho
kartā huuñ maiñ duzdīda-nazar gar kabhī us par
nazroñ meñ parakh le hai nazar-bāz to dekho
maiñ kinga-e-arsh se par maar ke guzrā
allāh-re rasā.ī mirī parvāz to dekho
ai vaa.e ki is sa.ī par apnī kabhī us se
sāzish na huī tāla-e-nā-sāz to dekho
kyā bolne meñ us but-e-kāfir kī adā hai
shīrīñ-suḳhanī ik taraf āvāz to dekho
abtar hai ye dīvāñ to miyāñ-'mus.hafī' saarā
anjām kī kyā kahte ho āġhāz to dekho
Top Urdushayar.com