Mushafi Ghulam Hamdani

ya-rab aabaad howen ghar sab ke

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
yā-rab ābād hoveñ ghar sab ke
phireñ ḳhat le ke nāma-bar sab ke
kis kī mizhgān haiñ ki sīnoñ meñ
yak-ba-yak chhin ga.e jigar sab ke
shab kī shab gul chaman ke haiñ mehmān
barg jhaḌ jā.eñge sahar sab ke
ek āshiq pe iltifāt na kar
haal par rakh miyāñ nazar sab ke
diijo paiġhām hī mirā qāsid
le chalā hai tū ḳhat agar sab ke
jitne haiñ gird-o-pesh ham-sā.e
ghar Dubo.egī chashm-e-tar sab ke
ham rahe pīchhe vaa.e garm ravāñ
pahuñche manzil pe peshtar sab ke
mere soz-e-junūñ kī dahshat se
band rahte haiñ din ko ghar sab ke
dil hī apnā hai chīnī-e-mū-dār
hisse aa.e na vo kamar sab ke
haath uThte the pīTne ke liye
tere kushte kī laash par sab ke
gar yahī hai rasā.ī-e-sayyād
ek din bāñdhegā ye par sab ke
kyā dikhāve safā.ī tab.a mirī
jis jagah huuñ ḳhazaf guhar sab ke
dostī kar dilā na in se ki haiñ
dushman-e-jāñ ye sīm-bar sab ke
the jo sultān-e-bahr-o-bar āḳhir
ga.e barbād tāj-e-zar sab ke
vaa.e duniyā ki rulte phirte haiñ
ḳhaak meñ kāsa-hā-e-sar sab ke
'mus.hafī' ye jo haiñ amiir o faqīr
dil meñ hai maut kā ḳhatar sab ke
Top Urdushayar.com