Mushafi Ghulam Hamdani

kabhu tak ke dar ko khaDe rahe kabhu aah bhar ke chale gae

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kabhū tak ke dar ko khaḌe rahe kabhū aah bhar ke chale ga.e
tire kūche meñ jo ham aa.e bhī to Thahar Thahar ke chale ga.e
ga.e baaġh meñ kisī gul tale to vahāñ bhī apnā na jī lagā
le ba-rañg-e-ġhuncha jamā.iyāñ tujhe yaad kar ke chale ga.e
kahīñ ġhash meñ thā maiñ paḌā huā suno aur qahr kī baat tum
mujhe dekhne ko jo aa.e vo to bigaḌ sañvar ke chale ga.e
karūñ mū o zulf kā kyā bayāñ ki ajiib qissa hai darmiyāñ
ye idhar ko siine pe aa rahī vo udhar kamar ke chale ga.e
ab aniis hai na jalīs hai na rafīq hai na shafīq hai
ham akele ghar meñ paḌe rahe sabhī log ghar ke chale ga.e
ye ajab zamāne kī rasm hai ki jinhoñ pe marte the ham sadā
pas-e-marg aa vahī ḳhaak meñ hameñ aah dhar ke chale ga.e
chaḌhe koThe par to the 'mus.hafī' pa na daav par vo mire chaḌhe
maiñ chaḌhā.ūñ jab talak āstīñ uThe aur utar ke chale ga.e
Top Urdushayar.com