Mushafi Ghulam Hamdani

zer-e-naqab aab-gun hae-re unki jaliyan

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
zer-e-naqāb āb-gūñ hā.e-re un kī jāliyāñ
ham ko to bas Dubo ga.iiñ niil ke kaTre vāliyāñ
teġh jo rakkhī saan par sudh jo sambhālī us ne Tuk
vaza.eñ na.ī tarāshiyāñ tarzeñ na.ī nikāliyāñ
ham pe to barse sub.h tak ḳhanjar o teġh o tiir hī
abr-e-balā se kam nahīñ hijr kī rāteñ kāliyāñ
shole kī juuñ madad kare dūd-e-naḳhast-e-ḳhār-o-ḳhas
missī se aur dhuāñ huiiñ hoñToñ kī us kī lāliyāñ
mū-kamarān-e-bāġh-e-husn lachkeñ jo misl-e-shāḳh-e-bed
dil ko na kyuuñ hilāveñ phir un kī ye nau-nahāliyāñ
ik sharar-e-āh kā mirī bā.is-e-shor-o-shar huā
jugnū ko dekh jis tarah laḌke bajāveñ tāliyāñ
sāhib-e-ne.amat is tarah rahte haiñ sab se surḳh-rū
sū-e-zamīñ jhukī raheñ meve kī jaise Dāliyāñ
kis se paḌhāve koī ḳhat inshā hī jis kā ho ġhalat
ya.anī ki us ne be-nuqat bhejī haiñ likh ke gāliyāñ
kunj-e-qafas meñ baaġh se aa.e the jo na.e asiir
sauteñ unhoñ kī saarī raat mere jigar meñ sāliyāñ
'mus.hafī' us kī bazm meñ bhūke haiñ naaz ke jo log
gāliyoñ kī jagah unhoñ miltī haiñ kyā sahāliyāñ
Top Urdushayar.com