Mushafi Ghulam Hamdani

kya main jata hun sanam chhuT tere dar aur kahin

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kyā maiñ jaatā huuñ sanam chhuT tire dar aur kahīñ
le qasam mujh se jo merā ho guzar aur kahīñ
raftagī kā hai ye aalam ki tire vaqt-e-ḳhirām
paañv jaate haiñ kahīñ aur kamar aur kahīñ
sub.h par vasl kī Thahrī hai shab-e-hijr tire
jāveñ jaldī se guzar chaar pahar aur kahīñ
vādī-e-qais meñ jo le ga.ī mujh ko vahshat
dil ke bahlāne kī jā thī na magar aur kahīñ
us ke kūche ko tū ai aah ġhanīmat hī samajh
sach to ye hai nahīñ itnā bhī asar aur kahīñ
ham haiñ aur ḳhosha-e-parvīñ kā tamāshā hama-shab
jā ke jhamkā.iye ye aqd-e-guhar aur kahīñ
lā-ubālī mirī dekhe hai tū ā.īna kahāñ
dil tirā aur kahīñ hai to nazar aur kahīñ
va.ada-e-vasl diyā iid kī shab ham ko sanam
aur tum jā ke hue shīr-o-shakar aur kahīñ
sāmne us ke lagūñ rone to jhuñjhlā ke kahe
yaañ se le jā.iye ye dīda-e-tar aur kahīñ
chaman-e-lāla-satāñ meñ mujhe jaane de sabā
chañge hoñge na mire dāġh-e-jigar aur kahīñ
tafraqa bād-e-ḳhizāñ ne ye chaman meñ Daalā
gul kahīñ aur paḌā hai to samar aur kahīñ
barg-o-bar ye tire kūche meñ to laatā hī nahīñ
jā ke biThlāveñg ḳhvāhish kā shajar aur kahīñ
aise ghabrā.e ki hālat na rahī kuchh baaqī
dekh aa.e jo use shams o qamar aur kahīñ
gar maiñ bad-nām huā us kī galī meñ to huā
yaaro ab yaañ se na jaave ye ḳhabar aur kahīñ
'mus.hafī' maiñ huuñ vo sar-gashta ki ḳhurshīd kī tarah
shaam gar aur kahīñ kī to sahar aur kahīñ
Top Urdushayar.com