Mushafi Ghulam Hamdani

zulf agar dil ko phansa rakhti hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
zulf agar dil ko phañsā rakhtī hai
aañkh pardoñ meñ chhupā rakhtī hai
saath fahmīdgī gar hove to phir
but-parastī bhī mazā rakhtī hai
chahchahā rañg mire ḳhuun kā sā
tire paañv kī hinā rakhtī hai
aarsī hotī hai sanmukh tere
kuchh bhī āñkhoñ meñ hayā rakhtī hai
kar diyā us ne to mujh ko mad.hosh
kis kī bū bād-e-sabā rakhtī hai
ḳhāk-e-dehlī kī zarā sair to kar
ki ajab āb-o-havā rakhtī hai
haa.e tīkhī nigah us kāfir kī
kyā kahūñ maiñ jo adā rakhtī hai
terī tasvīr ko le kar shīrīñ
apnī chhātī se lagā rakhtī hai
jab talak aave hai tū phir ke ye chaal
ḳhaak meñ mujh ko milā rakhtī hai
aarsī se na karo kaj-nazarī
is kā tum se vo gilā rakhtī hai
aah merī hai asar se ham-dosh
tāl-e-zulf-e-rasā rakhtī hai
kyā hai taqsīr jo ham ko tujh se
gardish-e-charḳh judā rakhtī hai
jhuk paḌe hai terī pā-bosī kā
zulf bhī shauq-e-balā rakhtī hai
gosht aur post bhī gal jaatā hai
jism ke biich ye kyā rakhtī hai
'mus.hafī' naam hai jis chiiz kā chaah
aadmī ko to khapā rakhtī hai
Top Urdushayar.com