Mushafi Ghulam Hamdani

ne zaKHm-e-KHun-chakan hun na halq-e-burida hun

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ne zaḳhm-e-ḳhūñ-chakāñ huuñ na halq-e-burīda huuñ
āshiq huuñ maiñ kisī kā aur āfat-rasīda huuñ
hastī se apnī mujh ko nahīñ mutlaq āgahī
umr-e-guzishta yā ki ġhazāl-e-ramīda huuñ
nikle hai merī vaz.a se ik shorish-e-junūñ
dariyā nahīñ maiñ sail-e-girebāñ-darīda huuñ
murġhān-e-bāġh meñ mire naale kā shor hai
har-chand maiñ abhī nafs-e-nā-kashīda huuñ
pahuñche sazā ko apnī jo muñh par mire chaḌhe
maiñ dast-e-rozgār meñ teġh-e-kashīda huuñ
jaatā hai jald qāfila-e-umr kis qadar
mohlat nahīñ hai itnī ki Tuk ārmīda huuñ
kaun uTh gayā hai paas se mere jo 'mus.hafī'
rotā huuñ zaar zaar paḌā āb-dīda huuñ
Top Urdushayar.com