Mushafi Ghulam Hamdani

jun hi zanjir ke pas aae panw

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
juuñ hī zanjīr ke paas aa.e paañv
dekh us ko mire tharrā.e paañv
ḳhat kā laayā na udhar se vo javāb
yūñhī qāsid ke maiñ thakvā.e paañv
bad-gumānī na ho āshiq kī ziyād
us ne shab ġhair se dabvā.e paañv
haath se yaar kā dāman de kar
har taraf phirte haiñ ghabrā.e paañv
najd kā dekh ke sahrā-e-vasī.a
aate hī qais ne phailā.e paañv
ḳhush-ḳhirāmī hai sanam! tujh par ḳhatm
kabk o tuutī ne ye kab paa.e paañv
tū to sotā rahā āshiq ne tire
raat bhar āñkhoñ se sahlā.e paañv
mujh musāfir ke kisī ne hargiz
garm paanī se na dhulvā.e paañv
'mus.hafī' ham ko tarab se kyā kaam
baiThe haiñ gor meñ laTkā.e paañv
Top Urdushayar.com