Mushafi Ghulam Hamdani

tum bhi aaoge mere ghar jo sanam kya hoga

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tum bhī aaoge mire ghar jo sanam kyā hogā
mujh par ik raat karoge jo karam kyā hogā
ek aalam ne kiyā hai safar-e-mulk-e-adam
ham bhī jāveñge agar sū-e-adam kyā hogā
dam-e-ruḳhsat hai mirā aaj mirī bālīñ par
tum agar vaqfa karoge koī dam kyā hogā
dekh us chāk-e-garebāñ ko to ye kahtī hai sub.h
jis kā siina hai ye kuchh us kā shikam kyā hogā
chain ho jā.egā dil ko mire az-rāh-e-karam
merī āñkhoñ pe rakhoge jo qadam kyā hogā
sohbat-e-ġhair kā inkār to karte ho vale
khāoge tum jo mire sar kī qasam kyā hogā
shāna ik umr se kartā hai do-vaqtī ḳhidmat
tujh ko mālūm hai ai dīda-e-nam kyā hogā
'mus.hafī' vasl meñ us ke jo muā jaatā ho
us pe ayyām-e-judā.ī meñ sitam kyā hogā
Top Urdushayar.com