Mushafi Ghulam Hamdani

wahshat hai mere dil ko to tadbir-e-wasl kar

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
vahshat hai mere dil ko to tadbīr-e-vasl kar
paañv meñ us ġhazāl ke zanjīr-e-vasl kar
zaḳhmī shikār huuñ maiñ tirā mar hī jā.ūñgā
pahlū se mat judā tū mire tīr-e-vasl kar
ik lahza terī bātoñ se aatā hai dil ko chain
hamdam ḳhudā ke vāste taqrīr-e-vasl kar
dast-e-darāz apne ko tauq-e-gulū mirā
tū ek dam to ai ḳham-e-shamshīr-e-vasl kar
ai mah ye terī dūr-kashī kab talak bhalā
ik shab to tū irāda-e-shab-gīr-e-vasl kar
siina pe siina ḳhisht pe goyā ki ḳhisht hai
ab ai falak nazāra-e-ta.amīr-e-vasl kar
tohmat lagegī paas biThāne se fā.eda
nāhaq na mujh ko mūrid-e-taqsīr-e-vasl kar
mat chāñdnī meñ aa ki zamāna ġhayūr hai
is kaam ko supurd-e-shab-e-qīr-e-vasl kar
shāyad ki paḌh ke narm ho dil us kā 'mus.hafī'
jā kar havāle us ke ye tahrīr-e-vasl kar
Top Urdushayar.com