Mushafi Ghulam Hamdani

tu dekhe to ek nazar bahut hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tū dekhe to ik nazar bahut hai
ulfat tirī is qadar bahut hai
ai dil tū na kar hamārī ḳhasmī
bas ik dil-e-kīna-var bahut hai
Tuk aur bhī sabr kar ki mujh ko
likhnā abhī nāma-bar bahut hai
ham aabla ban rahe haiñ ham ko
ik jumbish-e-neshtar bahut hai
shīshe meñ tire sharāb saaqī
Tuk ham ko bhī de agar bahut hai
is rañg se apne ghar na jaanā
dāman tirā ḳhuuñ meñ tar bahut hai
afsāna-e-ishq kis se kahiye
is baat meñ dard-e-sar bahut hai
mujh ko nahīñ aah kā bharosa
ya.anī ki ye be-asar bahut hai
is dil kī to tū ḳhabar rakkhā kar
ye aap se be-ḳhabar bahut hai
kyā bigḌī hai aaj 'mus.hafī' se
is kūche meñ shor-o-shar bahut hai
Top Urdushayar.com