az-bas bhalā lage hai tū mere yaar mujh ko
be-iḳhtiyār tujh par aatā hai pyaar mujh ko
sayyād kā burā ho jis ke taġhāfuloñ ne
kunj-e-qafas meñ rakkhā fasl-e-bahār mujh ko
jā.ūñ kidhar ko yaaro mānind-e-said-e-ḳhargah
mizhgāñ ne kar rakhā hai us kī shikār mujh ko
is raftagī pe mujh se kartā hai tū taġhāful
DāñTe hai tis pe ulTā phir baar baar mujh ko
merā qusūr kyā hai saan.e ko chāhiye thā
miqdār-e-husn detā sabr-o-qarār mujh ko
fitna hai yā parī hai jaadū hai yā balā hai
āñkhoñ se ye kiyā hai kis kī do-chār mujh ko
ai 'mus.hafī' tasavvur us kā jo sāmne hai
aatā nahīñ shab-e-ġham yak-dam qarār mujh ko