Mushafi Ghulam Hamdani

o miyan banke hai kahan ki chaal

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
o miyāñ bāñke hai kahāñ kī chaal
tum jo chalte ho nit ye bāñkī chaal
nāz-e-raftār ye nahīñ dekhā
ham ne dekhī hai ik jahāñ kī chaal
lākhoñ pāmāl-e-nāz haiñ un ke
kaun samjhe hai in butāñ kī chaal
kabk ko dekh kar ye kahne lagā
ye chale hai hamāre haañ kī chaal
rakh ke shatranj-e-ġhā.ebāna-e-ishq
tum chale ik to imtihāñ kī chaal
tis pe dushman hamāre jī kī huī
kajī-e-pel-e-āsmāñ kī chaal
'mus.hafī' bhar chalā vo riish o barūt
hue jas pīr-e-nā-tavāñ kī chaal
Top Urdushayar.com